Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin miltaa….

Hi,

Of late I’ve become more of poem loving person….a bit of sayarana..u know :)…and here I come with some of my favorite ones…To start with

Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin miltaa
Kahin zameen to kahin aasmaan nahin miltaa
Jise bhi dekhiye wo apne aapmai gum hai
Zubaan mili hain magar humzubaan nahin miltaa
Bujhaa saka hain bhala kaun wakt ke shole
Ye aisi aag hain jis mein dhuaan nahin miltaa
Tere jahaan main aisa nahin ke pyaar na ho
Jahaa ummeed ho is ki wahaa nahin miltaa

….

Gam is Kadar Mila Ghabra Ke Pi Gaye,
Khushi Thodi Si Mili Mila Ke Pi Gaye,
Yu to Hum Pine Ke Aadi Nahi the,
Sharab Ko Tanha Dekha to Taras Kha Ke Pi Gaye.!

….

Dil agar phool na hokar kaanch ka tukda hota
Todne wale ko ek zakham to aaya hota
 

Jitna dostana paya hai aapse, Usse bhi zayada pane ko jee chahta hai
Jane kon si khoobi hai aap mein k zindagi bhar dosti nibhane ko jee chahta hai

….

har aahat ehsaas hamara dilay gi
har hawa kissa hamara sunay gi
hum itni yadain basa dain gai aapke dil main
na chahtay huwai bhi yad hamari aaie gi

….

Sirf Itna Hi Kaha Hai, Pyaar Hai Tum se
Jazbaton Ki Koi Numayish Nahin Ki
Pyaar Ke Badle Sirf Pyaar Manga Hai
Rishte Ki To Koi Guzarish Nahin Ki
Chaho To Bhula Dena Humein Dil Se
Sada Yaad Rakhney Ki Sifarish Nahin Ki
Khamoshi Se Toofan Seh Letey Hai Jo
Un Baadlon Ne Izhar Ki Baarish Nahin Ki
Tumein Hi Mana Hai Rehnuma Apna
Aur to kisi Cheez Ki Khwahish Nahin ki….

….

Is dil ka kaha maano ek kaam kar do,
Ek be-naam si mohabbat mere naam kar do,

Meri par faqat itna ehsan kar do,
Kisi din subha ko milo aur shaam kar do

….

some from Dr. kumar vishwas – beautiful

mai jab bhi tej chalta hun, najaare chut jaate hain
koi jab rup garhta hun to saanse tut jaate hain….
main rota hun to aakar log kandha thapthapate hai
main hansta hun to mujhse log aksar ruth jaate hain

basti basti ghor udaasi
parvat parvat khaalipan
man heera bemol lut gaya
ghis ghis rita tan chandan
is dharti se us ambar tak
do hi chij gajab ki hai
ek to tera bholapan hai
ek mera diwanapan

…..

 Thats it from me tonight…have a rocking day and week and month and year and life guys…

and Thanks for reading my blogs…on parting note I will say 2 lines

“Kisi se kehte suna ki Zindagi rahi to phir milenge,
par dil ne ye mehsoos kiya ki milte rahenge to zindagi
rahegi”

PS: you can get more of Kumar Vishwas stuffs here

17 responses to “Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin miltaa….

  1. beautiful, loved reading it ya
    Regards

  2. Thanks for the compliment…:)

  3. Good one. Let me know what you think of my own poems.

  4. hi, im just a reader …… from romania… you is a poet that somebody suggested me to read… how to do if your writting s are on hindi… nregards!

  5. hi i am sahil nich 2

  6. hi,congratulation for the best writinig,how you go such deeply, zakham kuch gahera khaya hai, nice thanks ,inform me when you write more

  7. really nice ………….. mindblowing awesome………

  8. realy very beautiful poem and heart touch feelings

  9. be remember-

    lunga to vahi mukammal janha lunga,
    vahi jami lunga vahi aasma lunga

  10. nice site
    bhale hi naya hoon yahan par galib ka ek sher dohrana chahoonga

    har baat par poochti hai tu,ki tu kya hai
    main poochta hoon unse ye andaaze guftgu kya hai
    rago mein behne ke kayal hum nahi
    jo ankhon mein na utra wo lahoo kya hai

  11. Really nice.

  12. I chanced upon your blog and found it very informative. The event blogs are striking enough to have a feel of the event, so, I would like to have a little chit-chat on your blogging interests. And even we are coming up with an event on startups on June 6th. So, can I have your contact details? Looking forward to hearing from you.

    sikta@siliconindia.com

  13. jitendra tiwari

    aapke naye kavita ka hamesha intjar rahta hai . bhopal me maine aapka lagbhag har programme dekha hai. mera manna hai ki ab aap sanchalan nahi karen ,kiyonki aap aaj hindi kavita ke kohinoor ban chuke hain.

  14. please tell me where is the poem sung by d man himself as mp3. Bcoz i want 2 download it.

  15. very nice……….
    all I want to say is…….
    Jo na-mumkin lgta tha kabhi,mumkin ho gaya aaj…
    aankhein deedar ko trsein,kaan mangein teri aawaz…
    ye shayari bn jaye meri jindgi,
    or teri muhabbatt ko bna loon main saaz………..by sara(then what??)

Leave a reply to olimpia Cancel reply